agar mere fasane mein masarrat ka koi pahlu nazar aae samajh lena tumhaare waste mein raat ke gunjaan jangal se chamakte jugnuon ki qimti saughat laya hun mere andar andhere ka samundar hai ubharta dubta rahta hun main jis mein tumhein malum hai mera amal ab khatm hai, aur raat baqi hai abhi ek ghat baqi hai mere aakash ki had mein abhi suraj nahin pahuncha ghani tarikiyon mein chhatpatata hun main apne jism ke diwar-o-dar se sar ko takraata hun pal mein tut jata hun na ghabrao ki phir se khud ko yakja kar raha hun main nason mein apni phir taza lahu ko bhar raha hun main tumhaare waste main raat ke gunjaan jangal se chamakte jugnuon ki qimti saughat lata hun zara thahro! mein aata hun