azal se hai ye zindagi fana ke dasht mein rawan nishan-e-be-nishan hai ye kabhi yahan kabhi wahan kabhi azan-e-subh mein kabhi jaras mein gunjti kabhi sukut-e-shab mein hai kabhi safar khalaon mein kabhi hai gum fazaon mein zamin se aasman tak mah-o-nujum se pare jahan-e-nau ki justuju nuqush-e-pa-e-zindagi ke kuchh nishan to milen tilism tutta nahin har ek pal tahayyuraat ka jahan azal abad safar safar hai la-zawal silsila