tum patang ban ke hawaon mein tairti phiro aur dor mere hathon ko katti rahe par par zakhmi aur aankhen tere rangon mein uljhi rahen lahu bahta rahe aur aas tujhe chahne ki aasman ban ke tere chaaron taraf bikhar jae sham utre to teri aankhon ka rang mujhe apni panah mein samet le aur teri rahon par mera ek ek lams bikher de teri rahon ka kuchh pata to hoga aur tere waqt ki koi manzil to hogi jaan (2) ek main tanha ek wo tanha ek wo jis se main tumhaari katha kahta hun ek wo jo kisi ki katha se mujh mein zinda aur tum tanha lo ye bhi koi baat hui tum ne kaha han ye baaten aur in baaton ke nukile kungre jab teri jaan mein atakte hain to tumhaare nakhunon mein aisi shafaq dahakti hai jo sun na sake kuchh kah na sake tab meri umangon par ek aag lahraati hai aur main tujhe un khud-raw jangali phulon se tashbih deta hun jo sirf apni wahshat mein zinda rahte hain (3) zakhm khul gae hain jaanan aur hawaen chaaron taraf se umdi padi hain