zindagi tishnagi ka safar hai jis ke daman mein karodon mah-o-sal ke naqsh khwabida hain wo pyas ki aag thi jis ki khatir ye insan ghane jangalon mein khalaon ki nilahaton mein gahre samundar ki pahnaiyon mein bhatakta raha hai wo jism aur ruh ki pyas hai jo ab tak khalaon ka rup dhaare pattharon ke sine mein dard ban kar kaghzi paikaron mein rang bhar kar git, sangit mein bikhar kar machalti rahi hai aur agar tishnagi bujh gai to khalaon ke narm sote andhere ke sahra mein kho jaenge