nikalte din ke daman mein guman hain ki ab is daur mein be-kaifiyan hain hamein rakkha hai waqt-e-be-hunar mein sakun luta gaya is mustaqar mein utarti ja rahi hai raat ghar mein teri yaadon mein thahre din kahan hain samundar ki siyahi se pare ek jhilmilahat thi gai yaadon ki aahat thi kisi ehsas ka unwan nahin tha tilmilahat thi tamanna khud-kalami ke qarine ki rida odhe labon ki kapkapahat thi bichhda hua andaz hun mera kya hai tuta hua ek saz hun mera kya hai wo gul hun ki jis mein nahin khushbu koi miti hui aawaz hun mera kya hai sawab ye hai yahi ab hai yahan manzar badalne ka hunar mil bhi gaya to kya dil-e-sad-chaak ab sil bhi gaya to kya