trahdar kahan se laun

jhut ki garmi-e-bazar kahan se laun
raqs-e-be-mani ki jhankar kahan se laun

dhund ke hila-e-takzib barae-insaf
be-muhaba sar-e-darbar kahan se laun

be-khabar ishq se hain aaj riya-kar shuyukh
jazb-e-mansur sar-e-dar kahan se laun

bech kar chadar-e-zahra ko sajata firdaus
reshmi makr ki dastar kahan se laun

maut ki god mein hai aarif-o-dana ka wajud
dil-ruba fikr-e-sahar-kar kahan se laun

mein wo fankar hun ikhlas hai jis ka shahkar
makr-o-tarwiz ki guftar kahan se laun

khanqahon mein bhi raij hai hawas ki tadris
ba-khuda shaikh-e-nigah-dar kahan se laun

maktab-e-nau ka moallim hai farangi baqqal
buzar-o-khalid-o-karrar kahan se laun

ruh-e-tauhid ki qatil hai siyasi talim
sar-faroshan-e-wafadar kahan se laun

khub waqif hun hadis-e-mai-o-mina se magar
aalam-e-hashr mein dildar kahan se laun

saz-e-fitrat pe ghazal-khwan hai shuur-e-tanqid
kaghzi kakul-o-rukhsar kahan se laun

shola-zan daman-e-giti hai to mazmun koi
jinsiyat-bakhsh trahdar kahan se laun

dil ka paimana hai zahrab-e-alam se labrez
bulbul-e-zamzama-asar kahan se laun

tazkire hain qad-o-gesu ke bahar-taur aziz
muflisi mein dil-e-gulbar kahan se laun

tishnagi sahab-e-nama ki bujhane walo
aabru-bakhta shahkar kahan se laun

arsa-e-dahr ka har zarra hai aatish-ba-kanar
ramish-o-rang ke ashaar kahan se laun

jannati hone ki mana ki sanad bikti hai
ganj-e-qarun ka ambar kahan se laun

zeb-e-tan waqt ka pairahan-e-shoala hai abhi
kaif-angez main afkar kahan se laun

khair-agah mera fikr hai masruf-e-amal
bahs-o-takrar ki talwar kahan se laun

jaan pad sakti hai 'bebak' tan-e-murda mein
mard-e-'faruq' sa kirdar kahan se laun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close