sanp ka zahr hamare jism mein dakhil ho kar masti mein nara lagata hai khun ki har bund mein utarte hue lutf-o-imbisat se nachne lagta hai hamara badan is ke liye tamam shiryanon ke dar khol deta hai mudafat ke liye banae gae tamam morche munhadim ho jate hain chand ghanton mein sara jism taraj ho jata hai thakan se chur zahr ek nind lene ka faisla karta hai lekin us ki nind jald hi tut jati hai hamare badan ka taffun us ki bardasht se bahar hai jism ke andhere mein sanp ka zahr thokaren khata phirta hai ise jism se bahar nikalne ka rasta nahin milta wo daud daud kar hanp jata hai ek murda badan mein ediyan ragad ragad kar bil-akhir khud bhi mar jata hai