tu agar sair ko nikle to ujala ho jae surmai shaal ka dale hue mathe pe sira baal khole hue sandal ka lagae tika yun jo hansti hui tu subh ko aa jae zara bagh-e-kashmir ke phulon ko achambha ho jae tu agar sair ko nikle to ujala ho jae le ke angdai jo tu ghat pe badle pahlu chalta phirta nazar aa jae nadi par jadu jhuk ke munh apna jo ganga mein zara dekh le tu nithre pani ka maza aur bhi mitha ho jae tu agar sair ko nikle to ujala ho jae subh ke rang ne bakhsha hai wo mukhda tujh ko sham ki chhanw ne saunpa hai wo joda tujh ko ki kabhi pas se dekhe jo himala tujh ko is tere qad ki qasam aur bhi uncha ho jae tu agar sair ko nikle to ujala ho jae