raste gard mein atte hue rahi se bichhad jate hain khun roti hui aankhon mein kahin sham utar jati hai aasman ke sabhi jhilmil se munawwar tare rakh ban kar kisi tarik samundar mein bhatak jate hain phul jo shakh ki zinat the bikhar jate hain ajnabi des mein phir dur bahut dur kahin ek hansta sa munawwar chehra kaisi tarik udasi mein utar jata hai us ki jalti hui aankhon ka pighalta kajal ashk ban kar kahin takiye pe bikhar jata hai jal-tarang jaisi hansi shokh tabassum us ka aisa lagta hai ghane dard mein kho jata hai us ki palkon pe machalte aansu thak ke phir hijr ki dahliz pe so jate hain aur wo kitne dinon tak khud ko nim tarik se kamre mein muqayyad kar ke zahr ke jam piya karti hai nind aur khwab ke mabain sulagte pal mein bas tujhe yaad kiya karti hai ek tera nam liya karti hai us ki aankhon mein tere nam ko sun kar aksar aisa lagta hai hazaron hi diye jalte hain us ki duniya ke suhane manzar naqsh bante hain teri yaad ke sang chalte hain hanste gate hue jugnu panchhi aabshaaron ka tarannum jaise apni hasti ka takallum jaise saut-o-ahang ke sab rang hamesha ke liye dard-o-ashob ki aawaz mein dhal jate hain tu khafa ho to bahut dur bahut dur kahin ek ladki ke shab-o-roz badal jate hain