tu ne puchha hai mere dost to main sochti hun wo jo ek chiz hai duniya jise gham kahti hai mujhe taslim, mera us se ilaqa na raha zindagi goya koi sej rahi phulon ki phir wo kya hai ki jo kanton si chubha karti hai main ne dekhi hain wo be-mehr nigahen ai dost jin ki beganagi dil chir diya karti hai main ne ghume hain wo tanhai ke aaseb-nagar jin ki sarhad pe kahin maut phira karti hai main ne kati hain wo subhen ki jabin par jin ki tirgi barf ke manind gira karti hai apne aangan mein mili wahshat-e-sahra mujh ko ghairiyat jis mein bagulon si uda karti hai kaun samjhega ki neamat se bhari jannat mein ajnabiyyat ke azabon ki malamat kya hai mehr-o-altaf-o-inayat ke fusun-khane mein pas rahte hue duri ki aziyyat kya hai zindagi ki to alamat hai ye ehsas magar jaan nikale jo, ye ehsas ki shiddat kya hai dard har ek umumi nahin hota warna koi kah de to hamein kahne ki hajat kya hai zindagi ho bhi aur ehsas ki suli pe rahe dast-e-qudrat ki khuda jaaniye ghayat kya hai jaane kyun hai ki sahar-kari-e-takhil ka dam roz-o-farda mein badalte hue ghat jata hai apni tabir mein dhalte hue afsun ka sira jaane kis taur kaf-e-khwab se chhut jata hai jab bhi la-hasili imkan ki manzil dekhe rah mein asbab-e-tamanna kahin lut jata hai mil ke bhi kuchh nahin milta hai jahan dost mire! e'tibar-e-gham-e-hasti wahan uth jata hai tu ne puchha hai mere dost to main sochti hun apna kya haal bataun jo samajh aa jae!