gajar boli b muli se dekho mere dhang nirale lal gulabi rang hai mera mitha ek ek ang hai mera mujh se halwa log banaen is mein mewa-jat milaen khub maze le le kar khaen mujh se kitna pyar jataen tu to apni aap saza hai rang bura be-kar maza hai tikhi itni munh jal jae tujh ko kitne log na khae muli boli taish mein aa kar jalti hai tu mujh se gajar chandi jaisa rang hai mera ujla ek ek ang hai mera main hun har pakwan ki sathi yani dastar-khwan ki sathi khaen mujh ko log gharon ghar kya shabraati kya murli-dhar tu to hai har fitne ki jad dur karun main pet ki gadbad main unchi hun tu hai nichi yani mere pair ki juti sun kar tu tu main main un ki samjhane ko lauki aai boli lauki jhagda kaisa insanon ka ye hai shewa apna to sansar alag hai yani karobar alag hai ek duje se jal jal marna insanon ki baaten sab hain hindu muslim sikh isai na-danon ki zaten sab hain lekin muli gajar lauki aapas mein hain apne sare sab achchhe hain sab kar-amad ek bagiya ke sapne sare chhodo jhagda aur ladai aapas ki ye mar katai ab aapas mein jang na karna ek duje ko tang na karna