ek ek harf saja kar tujhe tahrir kiya khun ki nadiyan baha kar tujhe tahrir kiya dard mein umr bita kar tujhe tahrir kiya ab to kahta hai mera koi bhi kirdar nahin mera kiya hai, main unhi raston mein rahta hun mujh ko ye hukm hai ja, ja ke pattharon ko tarash main azal se isi ek kaam mein laya gaya hun main kabhi pir, payambar, kabhi shaer ki sifat tere be-faiz zamane mein utara gaya hun main to bahta hua dariya hun, samundar bhi hun main to jugnu bhi hun, titli bhi hun, khushbu bhi hun main to jis rang mein bhi aaya hun, chhaya gaya hun tu agar mujh ko na samjha to ai mere hamdam main kisi roz tere hath se kho jaunga aur tu waqt ke tapte hue sahraon mein hath malta hua rota hua rah jaega