pahle hum zindagi ko tukdon mein taqsim karte hain aur phir in tukdon ko rakh kar bhul jate hain ye bhul hamare jism ko ek jal mein lapet leti hai kaun sa tukda kahan rakha tha jis ki zarurat padti hai waqt par wo nahin milta hum sari zindagi zarurat ke waqt apni zindagi ke tukde talash karte rahte hain lekin be-tartibi aur bhul-bhulayyan jari rahti hain zindagi guzar jati hai aur guzar jaane ke baad tukde aapas mein mil jate hain ya koi dusra unhen jama kar leta hai