tulsidas

ye aqida hinduon ka hai nihayat hi qadim
jab kabhi mazhab ki haalat hoti hai zar-o-saqim

qadir-e-mutlaq jo hai dana-e-asrar-o-karim
bhejta hai rahnumai ke liye apna nadim

rahbaran-e-rah-e-haq jab rahbari farmate hain
bhule-bhatke sab musafir rah par aa jate hain

ek zamana tha ki ghaarat ho rahe the ahl-e-hind
apna mazhab apne hathon kho rahe the ahl-e-hind

ek ajab khwab-e-giran mein so rahe the ahl-e-hind
apne hi aamal ko khud ro rahe the ahl-e-hind

gharq hone par tha jab beda hamari qaum ka
gosha-e-uzlat mein 'tulsi' nakhuda paida hua

apni nadani kahen ya apni qismat ka qusur
did ke zarrin aqaed se hue jate the dur

apne mazhab ke masail se tabiat thi nufur
rahte the zikr-e-butan-e-sim-tan ki dhun mein chur

tha yahan tak hum pe jaur-e-gardish-e-charkh-e-buland
motiyon ke badle hum ko kankar aate the pasand

the puran-o-wed-o-gita ke masail jis qadar
silk-e-ramaen mein rakha tu ne sab ko bandh kar

jo khazane the purane un se the hum be-khabar
aankhen thin lekin na azmat apni aati thi nazar

ho sake ai mulk ke mohsin teri tarif kya
tu ne ek kuze ke andar band dariya kar diya

ek taraf hangam-e-sham az-bas thaka manda kisan
din ki mehnat se faraghat pa ke aaya hai makan

jama kar ke apne ghar ke bachche budhe aur jawan
kah raha hai hind ki hindi mein hindu dastan

jo samajhte hain ajab kya gar unhen aata hai lutf
lafz jo sunta hai kuchh us ko bhi aa jata hai lutf

ek taraf uzlat mein hai naqqad-e-mani mu-shigaf
ye maani hain muafiq wo matalib hain khilaf

is se hota hai kamal-e-shairi ka inkishaf
itne pechida matalib aur phir bhi itne saf

ahl-e-fan kahte hain is ko bahr-e-na-paida-kanar
aur awamunnas kah ke sahal ise karte hain pyar

dil dahal jata hai jis bhi waqt karte hain khayal
teri ramaen na hoti gar to hota kaisa haal

chand din gar aur chalta wo zamana apni chaal
hum ko kar deti zaif-ul-e'tiqadi paemal

rae ye meri nahin fatwa hai sari qaum ka
teri ramaen nahin naghma hai sari qaum ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close