kabhi yun hi kisi shab chandni ka hath lagte hi bina dastak ke khul jata hai ek kamre ka darwaza darichon se koi madhosh-kun khushbu nikalti hai faza mein muskuraati hai hayule se kai pardon pe bante hain bigadte hain koi mauhum aahat phail jati hai samaat par kitaben jag uthti hain koi safhe ulatta hai hawa mein sarsaraate hain adhuri nazm ke tukde faza mein tairte hain har taraf bhatke hue misre kahin maddham suron ka saz koi chhed deta hai andhere ke samundar mein koi bajra sa chalta hai purane git bahte hain udasi tal deti hai kabhi shishon pe halki nilgun lahren machalti hain kisi aawaz ka saya khuli khidki mein aata hai kiran koi zara sa jhilmila kar tut jati hai samajh mein kuchh nahin aata andhere mein bikharta kya hai kya tartib pata hai