rail guzri dandanati chikh barmati ek humakta muskuraata phul thame hath ki halki si jumbish (salam aakhiri) chaquon ki dhaar peshani mein dhans kar rah gai roz o shab mamul ke sab saebanon mein daraden pad gain phan uthae ptriyon ke nag bal khane lage surkh angare bujhe sabz zahri jhandiyan lahra gain khaulta jalta lahu jamne laga os ummidon pe jaise pad gai tez-rau pahiye mere sine se guzre aur hamesha ke liye jaise signal gir gaya yaad ki andhi surangi aankh ab ek raushni ka daera tha chilchilati raushni jaise indhan bis barson ka yakayak jal uthe tum agar rukte to mein is raushni ke daere ko tham leta aahani bhatti mein apna sab asasa jhonk deta aur hum is raushni mein apni tahriron ke wo alfaz padh lete jo meri lauh par mahfuz hain ek katbe ki tarah se aaj bhi mahfuz hain tum agar rukte to main tum ko dikhata al-widai sitiyon ki chikh sun kar har taraf mahshar bapa hai mere andar marne wala hai ek aalam jag utha hai kis qayamat ki ghadi hai tum agar rukte to main iqbaal karta apne hathon aap-apne qatl ka iqbaal karta tum agar rukte!