hum tab bhi chaar hi the magar tin zara bade the aur chautha bahut hi chhota is liye hum tin gine gae man ne kaha tha ye aapas mein ladte bahut hain bap ne garmiyon ke mausam mein thande farsh par nange badan hamein bhi sath bithaya aur hans kar kaha chahaar darwesh qissa kya hai us ne hamari aap ki chhoti chhoti be-mani shikayaten sunin hamein ittifaq ki barkaten batain talqin ki aur hum duniya mein masruf ho gae tab tak tum hamare sath rahe phir hum duniya mein khoe zarur magar markaz ki jaanib lautte bhi rahe isi liye jude rahe lekin na jaane kyon tum ne makka ke sath madina bhi chhod diya jab bada darwesh rahi-e-mulk-e-adam hua aur hum tinon saron ko jode