tum mujhe yaad aaogi

bichhadte waqt
us ne kaha tha

suno tum mujhe yaad aaogi
jab kabhi

sahil samundar par
nange panw chalte hue

samundar ki aaghosh mein
dubte suraj ke manzar ka pila-pan

aankhon mein utrega
tum mujhe yaad aaogi

jab kabhi
barsaton ki andheri raaton mein

dil ke kisi goshe mein
ek halki si aahat pa kar

yaaden gahri nind se jagengi
tum mujhe yaad aaogi

jab kabhi zist ke kisi mod par
kisi gham-gusar kisi jaan-nisar se

kuchh kahne sunne ka man chahega
jab kabhi

dil ye chahega ki
kisi hamdam kisi mahbub ki chahat mein is duniya ko chhod de

tum mujhe yaad aaogi
jab kabhi sardiyon ki shamon mein

ye khwahish dar-dil pe dastak degi ki
sath ek sathi ho

jis ki baaton mein jis ki sanson mein
ek anokhi garmi ho

chahaton ki hiddat ho
tum mujhe yaad aaogi

is se main us se kya kahti
ma-siwae is ke ki

tumhein yaad aane ke liye
kisi hawale kisi mausam kisi manzar ki hajat ki

kisi bhi waste ki zarurat nahin
dil ki dhadkan har ghadi har pal

sath chalti hai
sath rahti hai

aur tum mere dil ki dhadkan ho
jo chah kar bhi ruk nahin sakti

main tum ko bhul nahin sakti


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close