kya tumhaara nam ain se shurua hota hai main lughat khangal raha hun kisi ishwa-saz ka nam nahin mil raha kya tum ne apna nam chhupa diya kya tumhaara nam shin se shurua hota hai main nazmen padh raha hun kisi shoala-rukh ka nam nahin mil raha kya tum ne shairon ko jalwa nahin dikhaya kya tumhaara nam qaf se shurua hota hai main sahife dekh raha hun kisi qayamat-khiram ka nam nahin mil raha khuda tumhaara nam lena bhul gaya main ain shin aur qaf ko mila kar tumhaara nam bana leta hun aaj se tum mera ishq ho