tumhaare baad ka mausam tumhaare sath ke mausam se kitna mukhtalif thahra agarche rah mein meri faqat kante hi kante the mere dukh tum ne bante the ye sab kuchh thik jaisa tha main tum se dur tha lekin bahut nazdik jaisa tha magar dil ko tasalli thi ki aakhir mil hi jaenge hamari hasraton ke phul ek din khil hi jaenge tum aksar mujh se kahti thin tumhaare qurb ke lamhe mujhe masrur kar denge andhera hi andhera hun sarapa nur kar denge magar ye ho nahin paya so phir kuchh is tarah bikhra meri khushiyon ka sarmaya sidhaare us jahan ko tum jahan se aaj tak koi na aaya hai na aaega magar jab koi bhi email aata hai koi bhi phone ki ghanti achanak jab bhi bajti hai to us aawaz aur harfon se jo taswir banti hai tumhaari jaisi hoti hai magar wo tum nahin hotin