tumhaare liye sambhaal kar rakkha tha zamin ki kashish se bahar ek aasman ek ghode ki pith aur ek sadak jis par dhup chamkili barish albeli hoti hai ek misra likha tha tumhaare liye man ki mitti mein daba kar rakhi thi tumhaare nam ki konpal tumhaare liye bachai thi lahu ki lali ratjage aqidon ki shikastagi aag ki lapten ek hath mein ek mein aab-e-pak ek aankh sharmili ek aankh bebak kashti ke takhte aur shauq ka mawwaj dariya shahad duniya ko bant diya bacha kar rakha apna mom tum us ki baati hotin hum jalte sari raat tum ne chuna sone ka sindur chandi ki changiri palang naqshin pukhta chhat pakki diwaren pakka ghada uthla kuan pani jaisa thahar gain tum hawa ke jaisa bikhar gaya main