sunahri dhup ka manzar gae mausam ki shadabi shafaq ki reshmi girhen chand ke pahlu mein lipti sabz shakhen kisi tute hue tare ki dhundli si lakiren naqsh jin ke ret par bahte rahe barson safar ki daimi khushbu main jis ki aarzu le kar tumhaare pas aaya tha kitab-e-dil ki wo dhadkan tumhaare nam likhta hun paron par titliyon ke tairti sargam jo lafzon mein kabhi dhalne na pai wo maddham saz ki jumbish ujale subh ke dastak hawaon ki main apni soch ki tedhi lakiren jo kabhi aain sada ban kar khala ban kar jo lauti hain kisi be-nam sahra mein tumhaare nam likhta hun guzarti saaton ki talkhiyan ranaiyan aawargi apni tilism-e-agahi ke khwab paikar phul titli rang barish qahqahe khazane lafz-o-mani ke saliqe guftugu ke narm lahje ki rawan lahren mohabbat ki purani dastan tum ne kahi main ne suni main ne kahi tum ne suni tumhaare nam likhta hun mujhe ab surkh-ru kar do mere sab khwab chori ho gae hain khwab ki manzil naya ek khwab hai mere daman mein khwabida na jaane kitne khake kitne naqshe aakhiri sanson pe hain taswir un khwabon ki ab main saunp kar tujh ko naya ek bab likhta hun tumhaare nam likhta hun