suno koi uzr mat dhundo na hi nazren churao tum mujhe malum hai main sab samajhti hun tumhaare ahd-e-ulfat se tumhein aazad karti hun ab aisa hai ki patthar ka zamana phir se laut aaya wahi qanun jangal ka jibillat ka ghulam insan faraaz-e-ishq se patal tak ka hai safar yani firaq-o-hijr ke mausam hue parina qisse ab ba-kasrat hain mayassar ab to mashuqan-e-shirin-lab main hun hairat-zada ab tak wo kaise log the aakhir lahu se kar gae rangin jo ulfat ke qisson ko ajab hi rah nikali thi wafa ki rasm dali thi main qissa-go abhi tak dastanon mein hi rahti hun wahi rasmen nibhati hun wahi dukh dard sahti hun magar main ahd-e-hazir ke rawayyon se bhi waqif hun suno koi uzr mat dhundo na hi nazren churao tum mujhe malum hai main sab samajhti hun tumhaare ahd-e-ulfat se tumhein aazad karti hun