phir kyon is ko bandh rakha hai gardan ko aazad bhi kar do zanjiron se taki ye bhi logon ko kate chalti-phirti lash samajh kar tan ko noche basti mein hain aur bhi kutte aazadana taur pe jo ki ghum rahe hain logon ko kuchh kat rahe hain bhaunk rahe tan noch rahe hain tum ne apne kutte se to aazadi ko chhin liya hai khol bhi do zanjir gale se aakhir tum kya soch rahe ho tum ne apne hathon ko kyon rok liya hai tum ne jab kutta pala hai phir kyon is ko bandh rakha hai