tut batut ka ek tota hai umr hai us ki hafte aath miyan mitthu nam hai us ka sab kahte hain miyan math wah miyan mitthu tere thath jo kuchh us ke samne aae munh mein dale aur chabae chonch to us ki ek hai lekin dant hain us ke pure sath wah miyan mitthu tere thath bicycle bus motor lari har ek shai ki kare sawari yakka rehda bambu kath wah miyan mitthu tere thath raat ko khae mithi churi din ko khae halwa puri subh ko khae assi laddu sham ko khae ande sath wah miyan mitthu tere thath pet hai us ka itna mota jaise dewon ka ho lota tangen us ki itni lambi jaise qutub sahib ki lath wah miyan mitthu tere thath