hum chuhe tut batut ke hain hum chuhe tut batut ke hain ye jitne chuhe dekhte ho kuchh ganw ke hain kuchh jangal ke kuchh rahne wale jehlam ke kuchh basi kaththo nangal ke kuchh laddan kuchh mamdut ke hain hum chuhe tut batut ke hain hum shahi nasl ke chuhe hain ye takht aur taj hamara hai har ganw mein apni shahi hai har shahr mein raj hamara hai hum raje shahi coat ke hain hum chuhe tut batut ke hain hum bade hi kaam ke chuhe hain ye sher miyan kis kaam ka hai hum asli sher bahadur hain ye sher bahadur nam ka hai hum fauji shahi coat ke hain hum chuhe tut batut ke hain tum jaante ho ye bi mano kyon myaun myaun karti hai ye billi hum se dabti hai ye billi hum se darti hai hum bille baghad boot ke hain hum chuhe tut batut ke hain yun zahir mein kamzor hain hum par jab bhi mauj mein aate hain ye kutte gidad chiz hain kya hum sher ko bhi kha jate hain hum chuhe tut batut ke hain hum chuhe tut batut ke hain