man rasmon-riwajon ke dhagon se bani tartar odhni mujh se wapas le le tum hi un mein paiwand lagate lagate haar chuki ho to mujh ko kyunkar pesh karogi man darwaze ki ye kundi andar se band karne ka tumhein hukm diya gaya hai khol de warna mera qad itna uncha ho gaya hai main ab us tak khud pahunch sakti hun man mujhe muaf kar dena main tujhe chhod ja rahi hun kyunki main apni beti ko tariki mein thokaren khate nahin dekh sakungi man main kutiya to nahin jo ek niwale ki khatir bap bhai sasur shauhar aur bete ka munh takti rahun lotti rahun un ke qadmon mein man ye niwala mujhe pesh na kar jo tujh ko bhi khairaat mein mila hai abba ki wirasat ki chauthai aur shauhar ke haqq-e-mahr ke ehsan ka