simatte phailte paiham sulagte aur dhundlate ufuq jab pai-ba-pai ubhren ufuq jab pai-ba-pai duben to apna kaam kya hai naw apni khete rahna hai ufuq mehrab-dar-mehrab apne dwar phailae taaqub ke ishaare barq ban kar kaund jate hain badal jati hain rahen duriyan badhti hi rahti hain kabhi be-karwan be-mashal-o-shor-e-jaras chalna qayamat hi sahi phir bhi hamein chalna hi padta hai ki chalna hai muqaddar sath rahna ek inayat hai jise bin mange dete aur le lete hain bin puchhe zara si baat lekin aabgine tut jate hain zara si baat pahron dil dikhati hai satati hai taghaful go bhala lagta hai phir bhi ji to jalta hai hawa-e-intishaar ek pal mein tartiben zamanon ki ulat deti hai kaise aur qaza-o-qadr ke hathon yaqin ke jagmagate muskuraate surajon se pur ufuq gard-o-gubar-e-rah ban kar dub jate hain wo dekho po phati andhiyare jadon ke shagafon se hum is ko marhamat ka nam dete hain har ek shikwa yahan aa kar pasheman hone walon ko manata hai alawon ke qarin baithe hue kitni khunuk shamen guzar jati hain jaise khwab guzre dil tadapta hai ki shamen shabon mein aur shaben ujle saweron ke tasalsul mein gundhi tul-e-abad umr-e-khizar patin magar ye daera-dar-daera sachchaiyan tauba hamesha rah mein aati rahen tanhaiyan dene agar un ka lahu jam jae apni aastinon par to bujh jaen ye shoale jawedan raushan alawon ke ufuq ke naqsh aur apni shabihen sab hi mit jaen asasa rahguzaron ka thakan awwal thakan aakhir nazare chashm-e-bina mein jo aansu ban ke rahte hain kasak jin ki chhupae se nahin chhupti wo sab kante alawon ke qarin aksar junun-e-khud-numai mein kisi ek git mein ek dastan mein dhalne lagte hain ye gham kitna ghanimat hai ye gham-e-hasti ki qimat hai ki hum is ko sunane aur sunne mein bahal jaen ufuq ke us taraf aur is taraf bikhra hua imkan jise hamrah kahte the wo ek sapna tha sauda tha nawa-e-na-shunida ke saweron tak pahunchne ka abad-asham tanhai ki wadi par karne ka alawon ke qarin aane ka ek pyara bahana tha wo raqs-e-nikhat-e-gul tha ki gardish mein zamana tha