raushni nahin hai dur dur tak jao mujh ko chhod do khamushi hai mai-kade se tur tak barbaton ko tod do ye udas raat ki siyahiyan nind aa ke tal gai ye mere nasib ki siyahiyan shama kab ki jal gai nind hai na chand hai na jam hai pyas kya bujhaoge zindagi ki tegh be-niyam hai aas kya bandhaoge aasman buland hai to kya karun hae meri pastiyan kash main tumhein kabhi dikha sakun kuchh ujad bastiyan hasraton ka bagh bagh ujad gaya phul ab khilenge kya ek ek ham-safar bichhad gaya dost ab milenge kya mishalen nahin to ye charagh kyun rah bhul jaunga zindagi pe koi taza dagh kyun chah bhul jaunga raushni nahin hai dur dur tak jao mujh ko chhod do khamushi hai mai-kade se tur tak barbaton ko tod do