uljhi sansen

us ne likha tha kisi ko
mere bachche

khak-e-zar-gar mein chhupe zarre hain
jin ko main jaan ke ewaz saunp rahi hun tum ko

mujh ko kuchh zinda khilaunon se mohabbat thi
jaise aini kisi ham-saya saheli

ke khilaunon ko utha lati hai
aur so jati hai

sina se laga kar un ko
dagh jo ruh mein

jism pe hote to mujhe
log ek jalta hua shahr samajhte

main rakh main kya dhundhta hun
to ne jalte hue dekha tha use

dagh the jism pe us ke jaise
tez jalta hua mom

shama ke jism pe jam jata hai
jal bujhi

jal bujhi aur mujhe phunk gai
rishte uljhi hui sansen hain magar

us ki sansen to kisi aur ka sarmaya thin
us ke jalne se meri rakh ka rishta kya tha

mujh ko khwabon ne kabhi chain se sone na diya
us ke honton ne jagaya tha meri aankhon ko

dagh boson ke
labon par nahin rahte

lekin
ruh par zakhm se ban jate hain

to juda ho gai jalte hue honton ki tarah
ye mera khat tujhe ek bosa-e-nadida hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close