khet ke chaaron samt lagai main ne badh ghane thohar ki socha samjha ab ke maweshi raund na paenge faslon ko kheti ab taraj na hogi dharti ab sona uglegi bante bante baat bani thi bigad gai lekin pal-bhar mein kat ke main ne bad ka thohar apni ungli khud kati thi khet ke rakhwale thohar ne hae ye hath uchhaale kaise hae ye panw nikale kaise pair bhi rakhna ab mushkil hai aisi fasl ugi hai ab ke koi maweshi bhule se bhi khet ki jaanib rukh nahin karta