sidhiyan chadhti hui nabzon ko roko upri manzil pe ghabraya hua ek hafiza tashkik ke mehwar pe kal shab se musalsal ghumta hai is se na-waqif nahin hum tum magar pani ki shakhon mein phanse alfaz dharti par nahin girte unhen kah do ki bachpan se ulajh kar jab bhi aankhon ke kinare ret ka koi gharaunda tut jata hai to dariya mein bhayanak badh aati hai samundar naza ke aalam mein aksar chikhta hai sidhiyan chadhti hui nabzon se kah do