ghazlon ke ai shahanshah 'mir'-e-jahan-e-urdu baqi nahin jahan mein nam-o-nishan-e-urdu khun-e-jigar se tu ne jis rekhta ko sincha aalam mein naza ke hai milta nahin masiha jis bagh mein pali thi us mein sabhi ne masla jis gulsitan ki jaan thi us mein bhi ab hai ruswa jis ki zabanon par hai kam aise rah gae hain bahwat mein waqt hi ki sab log bah gae hain ahl-e-zaban ne chhoda danish-war uth rahe hain ruswai hai muqaddar jis samt bhi gae hain ghazlon ke ai shahanshah 'mir'-e-jahan-e-urdu baqi nahin jahan mein nam-o-nishan-e-urdu