kaun padh sakta hai baatin ko kaun chhu sakta hai aankhon ki virani ko kaun diwaron pe marti dhup ko apne andar utar sakta hai jab hawas kodh-zada ho jaen tab judai ke zakhm se man ajnabi ho jata hai wo meri aawaz ke lams se bahut dur hai wo kaun si banjar zamin hai jahan mere kisi ehsas kisi kaifiyat ki rasai nahin hoti be-tahasha chikh mere andar jama hai mohabbat kis kis tarah se mazaq banti hai khuda ne har bar mere dil ko aazmaya ye meri khud-kalami hai jo mujhe zinda rakhe hue hai warna mujhe marne walon ne mera amn khali kar diya tha us ne khamoshi ko apna hathiyar banaya aur us hathiyar se fariyaad karne wale ki ruh ko zakhmi kar diya wo jaanta hai tashaddud kis kis tarah se kiya ja sakta hai wo be-zar ho gaya us aawaz se wo be-zar ho gaya us aawaz se jo rok rahi thi use andheron mein jaane se afsos wo kho gaya use tariki nigal chuki hai