mere andar ghana jangal ghane anjaan jangal mein lachak shakhon ki wahshat mein shajar ke patte patte par munaqqash an-ginat sadiyan zamanon ke badan uryan azal ki zad, abad ki had khandar, minar aur gumbad rawan la-samt tahziben nae imkan ki sansen, kabhi apni girafton mein girafton se kabhi bahar lahu, aafaq, ek dariya badan lamhat ka sahra jahan duniya bhatakti thi wo sab khamosh aur tanha isi sahra ke sannate ko naghmon se bhigona hai kahin dur ja kar khud ko khud hi mein dubona hai kisi din apne jangal se lipat ke khul ke rona hai