sab barishen ho ke tham chuki thin ruhon mein dhanak utar rahi thi main khwab mein baat kar raha tha wo nind mein pyar kar rahi thi ahwal hi aur ho rahe the lazzat mein visal ro rahe the boson mein dhule-dhulae donon nashshe mein lipat ke so rahe the chhota sa hasin sa wo kamra ek aalam-e-khwab ho raha tha khushbu se gulab ho raha tha masti se sharab ho raha tha wo chhanw sa chandni sa bistar hum rang naha rahe the jis par yun tha ki hum apni zat ke andar the apna hi ek aur manzar sairab mohabbaton ke dhaare baham the wajud ke kinare mauzu-e-sukhan, sukhan the sare aalam hi ajib the hamare jage wo lahu mein silsile phir tan man ke wahi the zaiqe phir tham tham ke baras baras gae phir patal tak ho gae hare phir jari tha wo raqs-e-ham-kinari nikli nai subh ki sawari aisa laga kaenat sari is aan to hai faqat hamari jab chand mera naha ke nikla main dil ko diya bana ke nikla kashkol-e-dua utha ke nikla shaer tha sada laga ke nikla dariya wo samundaron se gahre wo khwab gulab aise chehre sab zawiyon ho gae sunahre aainon mein jab wo aa ke thahre