zamin gungi ho rahi hai parinde chup sadhe ujdi shakhon pe baithe nauha-kunan hain raat ke badan pe nind ke pyale aundhe pade bilak rahe hain auraton ke rahm mein zinda lashon ke galne-sadne se taffun phail raha hai khwab bastiyan ujad rahi hain samundaron ne dekha maut dant nikosti dandanati phirti hai budhiya khidki se jhankte chikhi koi mazhab use lagam kyon nahin dalta kaisi shutr-e-be-mahaar hui phirti hai koi dua us ka gala kyon nahin ghontti is manhus ko tawiz ghol kar pilao darbaron mein jhadu deti bewaquf budhiya film ka wahi kirdar hit hota hai jis ne rehearsal ki ho khidki mein sannata phail gaya maut ne apna git jari rakha