sindh ki wadi pe hai kali ghata chhai hui burqa odhe ek dulhan baithi hai sharmai hui muntazir barish ke hain makki ke aur shaali ke khet tishnagi se khosha ki surat hai murjhai hui aaj ganderbal hua hai us ka manzur-e-nazar us ke sar par kya ghata phirti hai mandlai hui sindh ke nale ki aahon ka dhuan shayad utha kaisi tariki hai sath-e-ab par chhai hui qasid-e-abr aa raha hai le ke han paigham-e-faiz bargah-e-ezdi mein kis ki shunawai hui su-e-mashriq hai sar-e-kohsar par barish ka zor rahmat-e-bari hai goya josh par aai hui ai 'humayun' faiz-e-barish se khule dal ke kanwal kyun tere dil ki kali hai aaj murjhai hui