raat jagi to kahin sahn mein sukhe patte charmurae ki koi aaya koi aaya hai aur hum shauq ke mare hue daude aae go ki malum hai tu hai na tera saya hai hum ki dekhen kabhi dalan kabhi sukha chaman us pe dhimi si tamanna ki pukare jaen phir se ek bar teri khwab si aankhen dekhen phir tere hijr ke hathon hi bhale mare jaen hum tujhe apni sadaon mein basane wale itna chikhen ki tere wahm lipat kar roen par tere wahm bhi teri hi tarah qatil hain so wahi dard hai jaanan kaho kaise soen bas isi karb ke pahlu mein guzare hain pahar bas yunhi gham kabhi kafi kabhi thode aae phir achanak kisi lamhe mein jo chatkhe patte hum wahi shauq ke mare hue daude aae