andhe waqt ke gahre kuen mein mazi ki har yaad chhupi hai kuchh lamhon ki kirnen zard sunahri-anchal mein lipti hain kuchh pal aise bhi hain jin ke aaine mein dukh ke anmit-aks ubhar kar aankhon ke girdab mein raqsan lauh-e-dil par naqsh hue hain dhup aur chhanw ke is khel ko haal ka har pal dekh raha hai dukh ke bhaari bojhal patthar sukh ki narm sunahri kirnon ko mizan mein rakh kar taul raha hai mustaqbil ek dhund ki chadar mein lipte durwesh ki surat waqt ke is tarik kuen se jhankte mazi haal ke ek ek naqsh ka partaw dekh raha hai soch raha hai