guddu bete rote kyun ho qissa sunne ki khwahish hai achchha apne aansu ponchho lo hum ek qissa kahte hain iksath sal guzarte hain afghanon ki ek basti mein laddan-khan ne janm liya tha darogha ke bete the wo nana un ke maulana the khata-pita ghar tha un ka laddan-khan achchhe bachche the bilkul waise jaise tum ho un ke ghar wale bhi un se utni hi ulfat karte the jitni hum tum se karte hain jab wo thode bade hue to nana un ko maktab mein dakhil kar aae laddan-khan ne padhna sikha likhna sikha ladna sikha aakhir wo afghani bhi the chaudah pandrah barson hi mein laddan-khan ko ye be-fikri ras na aai nana aur abbu donon ne laddan-khan se katti kar li marna jina tum kya samjho tab majburan laddan-khan ne padhna chhoda apne ghar se nana joda tuition karte lashtam-pashtam apne ghar ka kharch chalate un ki amman ko raja se thodi si pension milti thi kaam kisi surat chal jata man ne un ki shadi kar di lekin biwi khush-qismat thi jis ne jald hi kai kar li guddu bete honi ho kar hi rahti hai maktab mein rah kar laddan-khan ghazlen kahna sikh chuke the afghani hone ke nate logon se darte bhi nahin the apni ghazlon mein nazmon mein tikhi tikhi baaten kahte logon par phabti kaste the apne hon ya ghair sabhi par sach kahne mein sach likhne mein bak na karte ye to ek nasha hota hai bas phir kya tha apne ghair sabhi un ke dushman ban baithe tuition chhute wi-meni ki wi-meni se munshi-giri dar dar bhatke baz na aae kadwi tikhi ghazlen nazmen kah kah kar ambar lagaya itne se bhi chal sakta tha lekin wo to raja-ji par phabti kas kar ammi ki pension le dube bolo un ki kya atki thi raja jo kuchh bhi karta tha laddan-khan se kya matlab tha ammi bechaari is gham mein kudh kudh kar pardes sidhaarin yun samjho bas ruth gain wo laddan-khan se lekin beta marne mein paise lagte hain laddan-khan ne ghar bhi becha aage pichhe koi nahin tha ab to laddan-khan khul-khele sachchi sachchi baaten kah kar kadwi tikhi ghazlen likh kar zahr-aluda nazmen padh kar ek sire se sab logon ko dushman-dar-dushman kar baithe sari duniya dushman ho to laddan-khan bachte bhi kaise sab ne mil kar ghera dala aage dushman pichhe dushman daen dushman baen dushman upar dushman niche dushman laddan-khan mein aql nahin thi ab bhi chikni-chupdi baaten kar ke chupke se bach lete laddan-khan ne apni ghazlen apni nazmen sari chizen chhod kar chupke se mar jaane hi ko behtar jaana guddu mere pyare bete mere raj dulare bete dekho tum ghazlen mat kahna bete tum nazmen mat likhna likhna hi pad jae to phir sach mat likhna dekho beta sach mat likhna sach mat likhna