sach hai hamin ko aap ke shikwe baja na the be-shak sitam janab ke sab dostana the han jo jafa bhi aap ne ki qaede se ki han hum hi karband-e-usul-e-wafa na the aae to yun ki jaise hamesha the mehrban bhule to yun ki jaise kabhi aashna na the kyun dad-e-gham hamin ne talab ki bura kiya hum se jahan mein kushta-e-gham aur kya na the gar fikr-e-zakhm ki to khata-war hain ki hum kyun mahw-e-madh-e-khubi-e-tegh-e-ada na the har chaaragar ko chaaragari se gurez tha warna hamein jo dukh the bahut la-dawa na the lab par hai talkhi-e-mai-e-ayyam warna 'faiz' hum talkhi-e-kalam pe mail zara na the