zamin hind ki rutba mein arsh-e-ala hai ye home-rule ki ummid ka ujala hai mrs-besant ne is aarzu ko pala hai faqir qaum ke hain aur ye rag mala hai talab fuzul hai kante ki phul ke badle na len bahisht bhi hum home-rule ke badle watan-parast shahidon ki khak laenge hum apni aankh ka surma use banaenge gharib man ke liye dard-dukh uthaenge yahi payam-e-wafa qaum ko sunaenge talab fuzul hai kante ki phul ke badle na len bahisht bhi hum home-rule ke badle hamare waste zanjir-o-tauq gahna hai wafa ke shauq mein gandhi ne jis ko pahna hai samajh liya ki hamein ranj-o-dard sahna hai magar zaban se kahenge wahi jo kahna hai talab fuzul hai kante ki phul ke badle na len bahisht bhi hum home-rule ke badle pahnane wale agar bediyan pahnaenge khushi se qaid ke goshe ko hum basaenge jo santari dar-e-zindan ke bhi so jaenge ye rag ga ke unhen nind se jagaenge talab fuzul hai kante ki phul ke badle na len bahisht bhi hum home-rule ke badle zaban ko band kiya hai ye ghafilon ko hai naz zara ragon mein lahu ka bhi dekh len andaz rahega jaan ke ham-rah dil ka soz-o-gudaz chita se aaegi marne ke baad ye aawaz talab fuzul hai kante ki phul ke badle na len bahisht bhi hum home-rule ke badle yahi dua hai watan ke shikasta haalon ki yahi umang jawani ke naunihaalon ki jo rahnuma hai mohabbat pe mitne walon ki hamein qasam hai usi ke saped baalon ki talab fuzul hai kante ki phul ke badle na len bahisht bhi hum home-rule ke badle yahi payam hai koyal ka bagh ke andar isi hawa mein hai ganga ka zor aath-pahr hilal-e-id ne di hai yahi dilon ko khabar pukarta hai himala se abr uth uth kar talab fuzul hai kante ki phul ke badle na len bahisht bhi hum home-rule ke badle base hue hain mohabbat se jin ki qaum ke ghar watan ka pas hai un ko suhag se badh kar jo shir-khar hain hindostan ke lakht-e-jigar ye man ke dudh se likkha hai un ke sine par talab fuzul hai kante ki phul ke badle na len bahisht bhi hum home-rule ke badle