batan aaghaz ka dabte hi main ne raston mein ja-ba-ja bikhri hui quwwat har ek andaz se khud mein undeli thi kitaben aur sakhiyan khwab aur manzar sahifon ke sunahre harf sab jholi mein dale the khabar thi jis muhim-jui pe nikli hun yahan chalna musalsal rah daldal aur tawanai mera wahid hawala hai badi muddat hui chalte hue mujh ko chattanen hain aur un ke baad ek kala samundar hai hare ude jaziron se bhara hai jin pe panw rakhti jaun to samundar kuchh nahin kahta ye dekho ek pal hai takhta takhta girta jata hai use girne se pahle par karna hai ye takhte to bahana hain mere panw hawa mein hain ab aage saikdon shakha koi chhitnar hai jis ki sabhi shakhon se unchi shakh par makkar dushman hai use ya marna hai ya mujhe bach kar nikalna hai ye agla marhala hai ab wo dushman du-badu hai war karta hai main aundhe munh na-jaane kin nashebon mein ludhakti hun uchhaala khud ko deti hun to ek baalisht se har bar rahti hun nahin main is muhim-jui se ghabrai nahin hun fikr bas ye hai mere raste mein ab quwwat nahin hai bas masafat hai