nashriya aal india radio bhopal indaur 8 july 68 saji hui gulon se ye hasin wadiyan ye sabza-zar-e-khushnuma hari-bhari ye khetiyan ye nahren jin mein zindagi bhare hue hai mastiyan ye jhilmilati naddiyan ye muskuraati naddiyan ye ganw ganw shahr shahr swarg ke saman hain mere azim desh ki ye bastiyan mahan hain jagah jagah wikas ki ubhar rahi hai raushni nai ada se karwaten badal rahi hai zindagi mahak uthi rawish rawish chamak uthi gali gali wo aaj phul ban gai jo kal thi adh-khili kali jo pastiyan thin kal wo ab uruj-e-asman hain mere azim desh ki ye bastiyan mahan hain buland unchi buildingen ye jagmagate raste bason ke motoron ke daudte hue ye silsile kalon ki gadgadahaton mein zindagi ke walwale taraqqiyon ki khoj mein rawan dawan ye qafile mere watan ki ruh hain mere chaman ki jaan hain mere wishaal desh ke bhawishya ka nishan hain har ek fard is chaman ka aaj pasban hai clerk ya majur hai jawan ya kisan hai mera watan azim hai mera watan mahan hai ye khetiyon ka desh hai milon ka ye jahan hai ye sar-buland chimniyan watan ki aan-ban hain hari bhari ye khetiyan mere chaman ki shan hain