wo aankhen kanwal banin aur khushk huin aur kanwal banin aur khushk huin koi dekhne aaya aankhen aan ki aan mein kanwal banin aur khushk huin aur daldal phaila simat gaya aur raat ki chadar phail gai koi dekhne aaya aan ki aan mein daldal phaila simat gaya ab hathi dant ke rasiya aaen to aaen tum ghar ki maili chadar le kar aae the aur jhadi mein chidiyon ke ande dhundte the aur khush the aur ande hath hi hath mein tut gae tum roe the aur rone wale ghar ja kar bhi rote hain wo aankhen kanwal banin aur khushk huin aur kanwal banin aur khushk huin kal barish kaisi tez hui nit baadal phaile diye jale main chadar odh ke baith gaya jo chadar odh ke baith gaya so chadar odh ke baith gaya phir patthar jaisa din nikla wo aankhen kanwal banin aur khushk huin aur kanwal banin aur khushk huin tum jangal ja kar dekhoge jab patte mitti mein dab jate hain mitti ke ho jate hain ab patton ka kya rona aur aankhon ka kya rona aur daldal ka kya rona wo hathi dant ke rasiya to aaenge main kandha dene chala kisi ko aur kahin ko chal nikla ab jogi banun ya sher kahun ab aankhen kanwal banen ya bujh jaen ab daldal phaile ya simte ab daldal ka kya rona ab aankhon ka kya rona ab rone walon par rone walon ka kya rona