jab zamin ke pyase hont bund bund ko tarse us ki kokh ne jab bhi sabz bachche janne ki aarzu mein lab khole tab shafiq baadal ne apni jaan ke amrit se is zamin ke sine mein qatra qatra ras ghola be-badan daradon se zindagi uga dali han ye sab hua lekin koi aa ke baadal se sirf is qadar puchhe teri pyas ka dozakh sard hai ki jalta hai