wo bakra phir akela pad gaya hai ki mera hath bhi donge mein achchhi botiyon ko dhundta hai wahi bakra khada rakkha gaya hai jis ko kone mein nigahon se chhupa kar wo jis ki zindagi hai munhasir is baat par ki hum khaenge kitna aur kitna chhod denge bas yun hi apni paleton mein abhi kuchh der pahle main khada tha pas jis ke aur jis ke zawiye se dekh kar mahfil ko aankhen dabdaba aai thin meri magar wo pal kabhi ka ja chuka tha ki ab hun mez par main aur mera hath bhi donge mein achchhi botiyon ko dhundta hai wo bakra phir akela pad gaya hai