wo basti yaad aati hai wo chehre yaad aate hain wahan guzra hua ek ek pal yun jagmagata hai andheri raat mein unche kalas mandir ke jaise jhilmilate hain wahan basti ke us kone mein wo chhoti si ek masjid ki jis ke sahn mein mere ajdad ki peshaniyon ke hain nishan ab tak usi ke pas thodi dur par bahti hui ganga mujhe ab bhi bulati hai wo ganga jis ka pani meri rag rag mein bahta hai lahu ban kar humakta hai mujhe ab bhi bulata hai agar mano to wo man hai na mano to faqat bahta hua pani hai dariya hai mujhe ab bhi bulata hai