azim-tar thi nazar ki duniya hasin thin aarzu ki rahen alamat-e-zindagi thi khwabon ki kahkashan zad-e-rah thin hairaten wafaen larazte ehsas kanpta zehn fikr-e-farda ki jot se muztarib nigahen wo rang-o-saut-o-sada ke waqfe wo jaan-o-tan ki hikayaten qalb-o-ruh ke dil-kusha manazir wo sab jo ek umr ki kamai the kaise ek be-kanar kohre mein chhup gae hain wo khwab jo hairaton wafaon ne dil ki kheti mein boe the kaise harf madum ho gae hain